Monday, October 29, 2007

Choir of Discontent [hinglish]

Laden clouds shed their burden.

Peepul droop heart-shaped leaves.

High on a limb, a black crow screeches

kaen-kaen, kaen-kaen, kya hai, yeh zindagi?



When we met in the realm of soul

did I agree to live in this darkness

Did you even ask, ke mere saath chalogi

zindagi ke uljhano mein? You

must have known, ke jo life

tum mujhe de rahe ho,vo kaisi hogi?



Refreshed with rain, green hearts

delicately flutter, whispering disdain

drowned by the indignant chorus

of kaen-kaen, kaen-kaen



Kyon laaye, tum mujhe yahan

kya paaya, iss kaale saaye se

jo na tik saki, yahan ya vahaan

rejecting, each notion of love

you compelled me explore



Asleeyat jaanti, toh kabhi nahin aati

aise aaeine ke saamne, jahaan

kaali hokar bhi, zindagi ke jhooton

se itni kam, ke koi reflection he nahin

nor illusions of being, toh iss

shareer ke anand, ka ehsaans kahan?



Jahaan, ek pal chaen nahin, apni

kaen-kaen, kaen- kaen, ke sivaaye

kuch kehna, ya sunna nahin

Kyon laaye mujhe yahan

aisi berukhi zindagi mein?

Kyon jagaaya ummeed, of

an impossible mission to live?




© Gopika Nath


No comments: